Is baar nahin
Is baar jab woh choti si bachchi mere paas apni kharonch le kar aayegiMain usey phoo phoo kar nahin behlaoongaPanapney doonga uski tees koIs baar nahin
Is baar jab main chehron par dard likha dekhoongaNahin gaoonga geet peeda bhula dene waleDard ko risney doonga,utarney doonga andar gehreyIs baar nahin
Is baar main na marham lagaoongaNa hi uthaoonga rui ke phaheyAur na hi kahoonga ki tum aankein band karlo,gardan udhar kar lo main dawa lagata hoonDekhney doonga sabko hum sabko khuley nangey ghaavIs baar nahin
Is baar jab uljhaney dekhoonga,chatpatahat dekhoongaNahin daudoonga uljhee door lapetneyUljhaney doonga jab tak ulajh sakeIs baar nahin
Is baar karm ka hawala de kar nahin uthaoonga auzaarNahin karoonga phir se ek nayee shuruaatNahin banoonga misaal ek karmyogi kiNahin aaney doonga zindagi ko aasani se patri parUtarney doonga usey keechad main,tedhey medhey raston peNahin sookhney doonga deewaron par laga khoonHalka nahin padney doonga uska rangIs baar nahin banney doonga usey itna laachaarKi paan ki peek aur khoon ka fark hi khatm ho jayeIs baar nahin
Is baar ghawon ko dekhna haiGaur seThoda lambe wakt takKuch faisleyAur uskey baad hausleyKahin toh shuruat karni hi hogiIs baar yahi tay kiya hai
... Prasoon Joshi
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment